sitara ek bhi baaqi bacha kya
nigoḌi dhuup kha jaati hai kya kya
falak kangal hai ab puchh liije
sahar ne munh dikha.i men liya kya
sab ik bahre fana ke bulbule hain
kisi ki ibtida kya intiha kya
jazire sar uTha kar hans rahe hain
zara socho samundar kar saka kya
ḳhirad ik nuur men zam ho rahi hai
jharoka agahi ka khul gaya kya
bahut sharmaoge ye jaan kar tum
tumhare saath ḳhvabon men kiya kya
use ḳhud-kush nahin majbur kahiye
badal deta vo dil ka faisla kya
barahna tha main ik shishe ke ghar men
mira kirdar koi kholta kya
ajal ka ḳhauf taari hai azal se
kisi ne ek lamha bhi jiya kya
makin ho kar muhajir ban rahe ho
miyan yak-laḳht bheja phir gaya kya
ḳhuda bhi dekhta hai dhyan rakhna
ḳhuda ke naam par tum ne kiya kya
uTha kar sar bahut ab bolta huun
mira kirdar bauna ho gaya kya
Leave a Reply