shama raushan jism-e-fanus-e-khayali men hai aaj
ruuh juun misl-e-magas makdon ki jaali men hai aaj
ham nahin hargiz hubab-e-bahar-e-imkan dahr men
sane-e-kaunain shakl-e-be-misali men hai aaj
kaaba-e-dil arsh hai har dam jahan rahta huun main
meri pahchanat ye jism-e-la-yazali men hai aaj
naam sun kar jo koi aaya hai vo paaya hamen
ism-e-azam ki sifat is ism-e-ali men hai aaj
jannat-ul-firdaus men ja kar bhala ham kya karen
koi bhi us khana-e-viran-o-khali men hai aaj
hur-o-ghilman-e-bahishti yaan mire ham-rah hain
mulk-e-dil-abad apne hasb-e-hali men hai aaj
nek-o-bad yaksan hai vajib main yahan imkan men
chahiye rahat to ‘miskin’ khush-khisali men hai aaj
Leave a Reply