
Iftikhar Naseem
shaam se tanha khaḌa huun yaas ka paikar huun main
ajnabi huun aur fasil-e-shahr se bahar huun main
tu to aaya hai yahan par qahqahon ke vaste
dekhne vaale baḌa ghamgin sa manzar huun main
main bacha lunga tujhe duniya ke sard-o-garm se
Dhanp le mujh se badan apna tiri chadar huun main
ab to milte hain hava se bhi dar-o-divar-e-jism
basiyo mujh se nikal jaao shikasta-ghar huun main
main tumhen uḌte hue dekhunga mere sathiyo
main tumhara saath kaise duun shikasta-par huun main
mere hone ka pata le lo dar-o-divar se
kah raha hai ghar ka sannaTa abhi andar huun main
kaun dega ab yahan se teri dastak ka javab
kis liye mujh ko sada deta hai ḳhali ghar huun main

Leave a Reply