• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Phul Sunghe Jaane Kya Yaad Aa Gaya

Phul Sunghe Jaane Kya Yaad Aa Gaya

akhtar-ansari

phuul sunghe jaane kya yaad aa gaya

dil ajab andaz se lahra gaya

us se puchhe koi chahat ke maze

jis ne chaha aur jo chaha gaya

ek lamha ban ke aish-e-javedan

meri saari zindagi par chha gaya

ghuncha-e-dil haae kaisa ghuncha tha

jo khila aur khilte hi murjha gaya

ro raha huun mausam-e-gul dekh kar

main samajhta tha mujhe sabr aa gaya

ye hava ye barg-e-gul ka ehtizaz

aaj main raz-e-musarrat pa gaya

‘aḳhtar’ ab barsat ruḳhsat ho gai

ab hamara raat ka rona gaya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

fahmida-riaz

Tum Bilkul Hum Jaise Nikle

Tere Siwa Nigahon Mein Ai Yar Kaun Hai

Tera Hi Zikr Harsu Tera Hi Bayan Mile

Kuchh Bhi Nahin Hai KHak Ke Aazar Se Pare

poet

Tegh-E-Jafa Ko Teri Nahin Imtihan Se Rabt

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet