bahut qarib ho tum phir bhi mujh se kitni duur
ki dil kahin hai nazar hai kahin kahin tum ho
vo jis ko pi na saki meri shola-ashami
vo kuza-e-shakar o jam-e-ambagin tum ho
mire mizaj men ashuftagi saba ki hai
mili kali ki ada gul ki tamkanat tum ko
saba ki god men phir bhi saba se begana
tamam husn o haqiqat tamam afsana
vafa bhi jis pe hai nazan vo bevafa tum ho
jo kho gai hai mire dil ki vo sada tum ho
bahut qarib ho tum phir bhi mujh se kitni duur
hijab-e-jism abhi hai hijab-e-ruh abhi
abhi to manzil-e-sad-mehr-o-mah baaqi hai
hijab-e-fasla-ha-e-nigah baaqi hai
visal-e-yar abhi tak hai aarzu ka fareb