• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Awwal Awwal Ki dosti Hai Abhi

Awwal Awwal Ki dosti Hai Abhi

ahmad-faraz

avval avval ki dosti hai abhi

ik ghazal hai ki ho rahi hai abhi

main bhi shahr-e-vafa men nau-varid

vo bhi ruk ruk ke chal rahi hai abhi

main bhi aisa kahan ka zud-shanas

vo bhi lagta hai sochti hai abhi

dil ki varaftagi hai apni jagah

phir bhi kuchh ehtiyat si hai abhi

garche pahla sa ijtinab nahin

phir bhi kam kam supurdagi hai abhi

kaisa mausam hai kuchh nahin khulta

bunda-bandi bhi dhuup bhi hai abhi

khud-kalami men kab ye nashsha tha

jis tarah ru-ba-ru koi hai abhi

qurbaten laakh khub-surat hon

duriyon men bhi dilkashi hai abhi

fasl-e-gul men bahar pahla gulab

kis ki zulfon men tankti hai abhi

muddaten ho gaiin ‘faraz’ magar

vo jo divangi ki thi hai abhi

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Shikwa Hai Na Ghussa Hai Ki Main Kuchh Nahin Kahta

Sufi

Zakhm Se Wasta Na Tha Pahle

Sab Kuchh Karobari Hai

MAHMUD SHABISTARI

Sawal – Visal-e-Mumkin-O-Wajib Baham Chist

Zindagi Tujhko Bhi Aur Tera Tamasha Dekhun

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet