ishq ishq ho shayad husn men fana ho kar
intiha hui gham ki dil ki ibtida ho kar
dil hamen hua hasil dard men fana ho kar
ishq ka hua aghaz gham ki intiha ho kar
na-murad rahne tak na-murad jiite hain
saans ban gaya ik ek naala na-rasa ho kar
ab hui zamane men sheva-e-vafa ki qadr
alam-ashna hai vo dushman-e-vafa ho kar
aur bande hain jin ko dava-e-ḳhuda.i hai
thi hamari qismat men bandagi ḳhuda ho kar
umr-e-ḳhizr ke andaz har nafas men paata huun
zindagi na.i paa.i aap se juda ho kar
baḌhta hai na ghaTta hai marte hain na jiite hain
dard par ḳhuda ki maar dil men rah gaya ho kar
kar-gah-e-hasrat ka hashr kya hua ya rab
dagh-e-dil pe kya guzri naqsh-e-mudda.a ho kar
ishq se hue agah sabr ki bhi had dekhi
ḳhaak men mila doge der-ashna ho kar
ki qaza-e-mubram ne zindagi ki gham-ḳhvari
dard ki dava pahunchi dard be-dava ho kar
zindagi se ho be-zar ‘fani’ is se kya hasil
maut ko mana loge jaan se ḳhafa ho kar
Leave a Reply