Bagh-E-Ulfat Mein Gul Jo KHud-Raw Hai

bāġh-e-ulfat meñ gul jo ḳhud-rav hai

ḳhūn-e-bulbul kā rañg hai bū hai

āshiq-e-jāñ fidā-e-abrū hai

jo mah-e-īd sar-ba-zānū hai

fitna-e-hashr zulf-e-umr-e-darāz

par balā-e-siyāh gesū hai

terī abrū hai teġh ai saffāk

jauhar-e-teġh chīn-e-abrū hai

husn un kā agar hai sañgīñ dil

ishq apnā bhī saḳht baazū hai

leñ na shor-e-nushūr se karvaT

vo yahāñ ḳhvāb chaar pahlū hai

tol le sher ko mire hāsid

paas agar nazm kī tarāzū hai

kyuuñ na vo chashm-e-shauq meñ khaTke

ai parī-rū kamar tirī mū hai

us kā āshiq huā huuñ jis kī ‘vaqār’

chashm aahū nigāh aahū hai

Leave a Comment