sham-e-vafa bujhi hai na dil hai bujha hua
tarik kaise pyaar ka har rasta hua
raushan hai daagh daagh tamanna ka aaj bhi
lekin nigah-e-gardish-e-dauran ko kya hua
ik ham ki ashna rahe har ik se pyaar men
ik vo ki ho ke ashna na-ashna hua
dil ke jale dayar pe aansu baha.e kaun
sab dekhte hain ye ki hai chehra khila hua
‘shaghil’ ‘adib’ qurb men jin ke kaTi hayat
vo dost ab kahan ga.e vo pyaar kya hua
Leave a Reply