• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Sham-E-Haq Shoabada-E-Harf Dikha Kar Le Jae

Sham-E-Haq Shoabada-E-Harf Dikha Kar Le Jae

sham-e-haq sho.abada-e-harf dikha kar le jaa.e

kahin tujh ko hi na tujh se koi aa kar le jaa.e

pahne phirte hain jo pairahan-e-suqrat-o-masih

un ka bahrup na dil tera lubha kar le jaa.e

tu chaḌhava to nahin hai ki koi sehar-maqal

su-e-maqtal tujhe lafzon men saja kar le jaa.e

tu koi sukha hua patta nahin hai ki jise

jis taraf mauj-e-hava chahe uḌa kar le jaa.e

teri aqdar par-e-kah nahin hain ki junhi

koi lahar uTThe unhen saath baha kar le jaa.e

log to taak men hain aisa na ho koi tujhe

ḳhud tire ḳhauf ki zanjir pinha kar le jaa.e

ja-ba-ja shola-bayan charb-zaban taak men hain

koi tujh ko bhi na baton men laga kar le jaa.e

lafz tiron ki tarah va.az sinan ke manind

dil-e-vahshi ko kahan koi bacha kar le jaa.e

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Nichi Nazron Se Na dekho Sar-E-Mahshar dekho

Ai Dil Teri Barbaadi Ke Aasar Bahut Hain

Ek Umr Fasane Gham-E-Jaanan Ke gaDhe Hain

poet

Labon Pe Ab Koi Aah-O-Fughan Nahin Hoti

poet

Aashiq Ka Jahan Mein Ghar Na Dekha

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet