yahin tha baiTha hua darmiyan kahan gaya main
ki mil raha nahin apna nishan kahan gaya main
na kar raha hai fulan ko fulan ḳhabar meri
na puchhta hai fulan se fulan kahan gaya main
nishan milta hai hazir men kab guzishta ka
bata sakenge na a.indagan kahan gaya main
saje hue hain piyada o asp o fiil tamam
bichhi hui hai bisat-e-jahan kahan gaya main
main kab nahin tha akarat magar raha hazir
hua huun ab ke ajab ra.egan kahan gaya main
jise yaqin tha har suud men ḳhasare ka
tha apne-ap men sharh-e-ziyan kahan gaya main
agar tha pahle hi nam-o-nishan mira mafqud
to ho ke bar-e-digar be-nishan kahan gaya main
na bhejta hai koi nama-e-firaq mujhe
na DhunDhta hai pata ḳhat-rasan kahan gaya main
jo kar raha tha guzishta ke vaqi.at durust
suna raha tha ulaT dastan kahan gaya main
liya gaya huun hirasat men be-amani ki
ki be-aman tha shahr-e-aman kahan gaya main
uTha ke le gaya darogha-e-fana shayad
khula hua hai dar-e-ḳhak-dan kahan gaya main
bujhi nahin mire atish-kade ki aag abhi
uTha nahin hai badan se dhuan kahan gaya main
nahin hua huun magar is tarah kabhi gha.eb
raha hamesha nihan dar-ayan kahan gaya main
Leave a Reply