• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Sham Dhale Us Bazm-E-Tarab Mein Mera Jaana KHub Hua

Sham Dhale Us Bazm-E-Tarab Mein Mera Jaana KHub Hua

shaam Dhale us bazm-e-tarab men mera jaana ḳhuub hua

mujh ko achanak samne pa kar vo kitna mahjub hua

dasht-e-sitam men kitni saliben istada thiin char-taraf

shaah ke haath pe bai.at kar li koi na yaan maslub hua

rusva.i ke saa.e hamesha pichha karte rahte hain

mujh se gurezan ho kar bhi vo mujh se hi mansub hua

kucha-e-yar men jaana ho to tark-e-ana hai pahla qadam

ishq kisi se kya karta vo jo apna mahbub hua

ujḌi jab se mahfil-e-yaran taur badal ga.e jiine ke

zaḳhm mira pairahan Thahra dard mira uslub hua

ahd-e-nau ki ijadon se lazzat-e-nama-bari bhi ga.i

shishe par kuchh harf likhe hain ye kaisa maktub hua

apne aib pe chashm-e-zamana mushkil hi se jaati hai

be-chehra the dekhne vaale a.ina ma.atub hua

rah ga.e kuchh yadon ke saa.e kuchh lafzon ki raushaniyan

aḳhir meri umr ka suraj Dhalte Dhalte ghurub hua

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Rasta Der Tak Sochta Rah Gaya

Khel Sab Rasm Ka Tha Rasm Nibhai Na Gai

darshika-wasani

Tere Baghair

Bhara Hua Teri Yaadon Ka Jam Kitna Tha

parveen-fana-syed

Kash Tufan Mein Safine Ko Utara Hota

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet