kya farogh-e-bazm us mah-ru ka shab sad-rang tha
sham.a nahin sharminda aur mah dekh ruḳh ko dang tha
kyuun na rakhkhun daagh dil par jaise laala dar-e-chaman
ḳhaal ghair-e-fam us ruḳhsar par gul-rang tha
sharmgin ankhon se jis janib ko paḌti hai nazar
nazuki shamshir se bismil pe arsa tang tha
qatl men ashiq ke shab ko kya tujhe taḳhir hai
shor ghul tha dhuum thi aur izhdiham ahang tha
aah zaari par kisi ki vo na karta tha ḳhayal
gosh-e-zad-avaz us dam Dholak-o-mirdang tha
ho gaya mahv-e-tamasha ghair ki mahfil men kyuun
ghair tere dil mira jyuun shisha vaqf-e-sang tha
‘afridi’ ishq ke baa.is haya jaati rahi
kya hua tere ta.iin da.ava jo nam-o-nang tha
Leave a Reply