shaḳh meri na ab shajar mera
iḳhtiyar ab hai ankh-bhar mera
aa.ine men to aks hai lekin
maar Dalega mujh ko Dar mera
kaun jaane kahan kahan ja.un
ham-safar ab ke hai safar mera
asmanon pe tu raha ḳhamosh
ghar gaya tere naam par mera
main ne sajde men sar jhukaya tha
le ga.e sar utaar kar mera
tujh ko sab se juda bana dunga
chhin mat harf ka hunar mera
dasht-o-sahra ujaaḌ aaya huun
DhunDhta huun kahan hai ghar mera
dast-o-bazu liye zaban mat le
aḳhiri par tu mat katar mera
mu-ba-mu kuchh simaT raha hai ‘nizam’
aur charcha hai dar-ba-dar mera
Leave a Reply