shajar samajh ke mira ehtiram karte hain
parinde raat ko mujh men qayam karte hain
suno tum akhir-e-shab guftugu darakhton ki
ye kam-kalam bhi kya kya kalam karte hain
kahan ki zindagi ham ko to sharm maar gai
ki teri chiiz hai aur tere naam karte hain
hamen to is liye ja-e-namaz chahiye hai
ki ham vajud se bahar qayam karte hain
agar kabhi mujhe maujudgan se fursat ho
to raftagan miri ninden haram karte hain
lahu ke ghunt na piita to aur kya karta
vo kah rahe the tira intizam karte hain
hamen samaat-e-be-lafz ki ijazat hai
hamare saath parinde kalam karte hain
abhi to ghar men na baithen kaho buzurgon se
abhi to shahr ke bachche salam karte hain
Leave a Reply