Shajar-E-Ishq Hamein Dar Ke Manand Bhi Hai

shajar-e-ishq hameñ daar ke mānand bhī hai

dil kisī shāḳh-e-tarab-nāk se paivand bhī hai

dil-e-nādāñ se nahīñ ahl-e-jahāñ se pūchho

koī mīsāq-e-mohabbat pe razā-mand bhī hai

darguzar bām-e-vafā se ki junūñ-ḳhez havā

ye charāġh ek shab-e-va.ada kā pāband bhī hai

raat tanhā.ī ta.āqub meñ musalsal koī chaap

aur jab ilm ho aage ye galī band bhī hai

chhoḌ bhī aa.e vo ghar bhuul bhī aa.e haiñ vo yaad

dil meñ kuchh TuuTe hue tiir ke mānand bhī hai

dastak-e-hijr se TuuTī thī mirī niiñd so ab

raat bhī baaqī hai aur ḳhvāb kā dar band bhī hai

Leave a Comment