Shairi Meri Gham-E-Ishq Ki Tafsir Bhi Hai

shā.irī merī ġham-e-ishq kī tafsīr bhī hai

ramish-o-rañg ke lamhāt kī tasvīr bhī hai

muzhda-e-amn bhī hai merī navā-e-hastī

vaqt ke haath meñ chaltī huī shamshīr bhī hai

saaz uThātā huuñ magar yaad rahe ahl-e-nishāt

saaz kī lai meñ nihāñ soz kī tāsīr bhī hai

zindagī ḳhvāb sahī ḳhvāb-e-pareshāñ hī sahī

dil ye kahtā hai yahī ḳhvāb kī ta.abīr bhī hai

nā-shunīda se jo ab tak mire naġhme haiñ ‘jamāl’

kuchh zamāne kī ḳhatā kuchh mirī taqsīr bhī hai

Leave a Comment