• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Raqs Karte Hain Meri Aankh Mein Manzar Kya Kya

Raqs Karte Hain Meri Aankh Mein Manzar Kya Kya

raqs karte hain miri aankh men manzar kya kya

dekhta rahta huun main ḳhvab ke bahar kya kya

vaqt zalim ne bhula diin hamen kaisi baten

haa.e maazi ke ḳhazine men the gauhar kya kya

ik tire naam ka aana tha zaban par aur bas

ham pe barse hain har ik samt se patthar kya kya

ghar se bahar ko nikalna bhi to ghar aana bhi

din guzarte hain mire ranj uTha kar kya kya

ab jo aa pahunche hain tujh tak to nahin kahte ham

raah men khaa.i hai ushshaq ne Thokar kya kya

ek arsa hua dekha hi nahin us janib

jaane tabdil hua hai mire bhitar kya kya

jaane kya kaifiyyat-e-dil hai hamari imroz

naam rakkhe hain junun kaif badal kar kya kya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Koi Siwa-E-Badan Hai Na Hai Wara-E-Badan

Rasm Hi Nind Ki Aankhon Se uTha Di Gai Kya

Guzarte Din Ke Dukhon Ka Pata to Deta Tha

Kitab-E-Hijr Mein Ek Harf-E-Na-Rasa Ki Tarah

Sab Ke Chehron Pe Jab KHushi Hogi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet