shair-e-rangin fasana ho gaya
sher bulbul ka tarana ho gaya
is qadar naqshe utare yaar ne
ye jahan tasvir-kHana ho gaya
vo chaman ki yaad ne muztar kya
zahr mujh ko ab-o-dana ho gaya
aankh se tapki jo aansu ki ladi
qafila gham ka ravana ho gaya
jaan lene aae the ‘shair’ vahi
maut ka to ik bahana ho gaya
Leave a Reply