Shabih-E-Ruh Kuchh Aise Nikhaar Di Gai Hai

shabīh-e-rūh kuchh aise nikhār dī ga.ī hai

anā faqīroñ ke kaase pe vaar dī ga.ī hai

tumhāre dil pe bhī kuchh to asar huā hogā

gire-paḌe hue lafzoñ ko dhaar dī ga.ī hai

hamārī aañkh ke aañsū subūt haiñ is kā

hañsī hamāre laboñ ko udhār dī ga.ī hai

mire badan ke qafas āsmāñ se phir is baar

zavāl-e-sub.h kī surḳhī guzār dī ga.ī hai

buland-qāmatī chubhne lagī thī duniyā ko

so mere kāñdhoñ se gardan utaar dī ga.ī hai

numū ke āḳhirī imkān DhūñDhne ke liye

mujhe zamīñ bhī ḳhalāoñ ke paar dī ga.ī hai

tavīl hijr kī muddat bhī ham faqīroñ ko

ḳhulūs-e-dil se ba-sad iḳhtisār dī ga.ī hai

hamārī ruuh to kachche makān meñ ḳhush thī

to kyuuñ badan ko hayāt-e-mazār dī ga.ī hai

Leave a Comment