shab-rang parinde rag-o-reshe men utar jaaen
kohsar agar meri jagah hon to bikhar jaaen
har samt siyah gard ki chadar si tani hai
suraj ke musafir bhi idhar aaen to mar jaaen
sab khel havaon ke isharon pe hai varna
maujen kahan muḳhtar ki ji chahe jidhar jaaen
is dasht men paani ke siva dhundhna kya hai
ankhon men miri ret ke sau zaiqe bhar jaaen
saae ki tarah saath hi chalta hai siyah-baḳht
ab haath ki bechari lakiren bhi kidhar jaaen
Leave a Reply