shab ke tarik samundar se guzar aaya huun
TuuTa taara huun ḳhalaon se utar aaya huun
tujh se jo ho na saka kaam vo kar aaya huun
asman chhoḌ ke dharti pe utar aaya huun
dasht-e-tanha.i men bikhra huun havaon ki tarah
ik sada ban ke dil-e-sang men dar aaya huun
jaane kis ḳhauf se phirta huun main ghabraya hua
kya bala ban ke main ḳhud apne hi sar aaya huun
dil-shikasta se dar-o-bam ki muddat ke ba.ad
ḳhairiyat puchhne ujḌe hue ghar aaya huun
shoḳh raton ke liye mere ta.aqub men na aa
dard ka chand huun ḳhvabon men nazar aaya huun
apna saaya bhi ‘zafar’ mujh ko na pahchan saka
kis na.e bhes men main aaj idhar aaya huun
Leave a Reply