• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / dar-E-Umid Ke daryuza-Gar

dar-E-Umid Ke daryuza-Gar

faiz-ahmad-faiz

phir phurere ban ke mere tan-badan ki dhajjiyan

shahr ke divar-o-dar ko rang pahnane lagin

phir kaf-aluda zabanen madh o zam ki qumchiyan

mere zehn o gosh ke zakhmon pe barsane lagin

phir nikal aae havasnakon ke raqsan taife

dardmand-e-ishq par thatthe lagane ke liye

phir duhal karne lage tashhir-e-ikhlas-o-vafa

kushta-e-sidq-o-safa ka dil jalane ke liye

ham ki hain kab se dar-e-ummid ke daryuza-gar

ye ghadi guzri to phir dast-e-talab phailaenge

kucha o bazar se phir chun ke reza reza khvab

ham yunhi pahle ki surat jodne lag jaenge

Filed Under: Nazm Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

nasir-kazmi

Aaj To Be-Sabab Udas Hai Ji

Be-Maza Thi Jo Bad-Maza Kar Di

zehra-nigaah

Is Ummid Pe Roz Charagh Jalate Hain

Sufi

Tumhaare dil Ki Tarah Ye Zamin Tang Nahin

Minnat-Kash-E-Ilaj-E-Masiha Nahin Raha

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet