be-sabab ishq kab udaas raha
vo tumhara ada-shanas raha
zindagi-bhar ḳhudi ka paas raha
ishq kab mahv-e-iltimas raha
har fasana jo kah chuki duniya
mere gham ka hi iqtibas raha
jama-zebi ba-qadr-e-zauq rahi
ishq har shaḳhs ka libas raha
tum se jab qurbaten mayassar thiin
dil to us vaqt bhi udaas raha
gham ka paimana ḳhud bata dega
kaun kitna tumhare paas raha
un ko mujh se hazar duuri thi
main to ‘ehsas’ un ke paas raha
Leave a Reply