shab-e-gham yaad un ki aa rahi hai
charagh-e-dil ki lau tharra rahi hai
bayan-e-dost naseh ki zaban se
tabi.at aur machli ja rahi hai
kahan naqsh-e-kaf-e-pa DhunDte ho
sada-e-pa to dil se aa rahi hai
baḌe dil-kash hain duniya ke ḳham o pech
nazar men zulf si lahra rahi hai
hui muddat ki dil atish-zada tha
fughan se aaj tak aanch aa rahi hai
shab-e-va.ada ḳhayalon ke ufuq par
gurezan si ziya tharra rahi hai
mohabbat ko kahan tab-e-nazara
javani aap hi sharma rahi hai
sukut-e-sham ki pahna.iyon se
sada us ajnabi ki aa rahi hai
Leave a Reply