tire alava koi dusra mila hi nahin
so tere ba.ad bahut der main jiya hi nahin
isi liye to kisi kaam ka nahin huun main
jo kaam karne ka tha vo kabhi kiya hi nahin
jahan vaale hamen mast kah rahe hain to kya
ki apna dard kisi aur se kaha hi nahin
hamare baare men kaise tumhen ḳhabar hoti
tumhare ba.ad zamane se rabta hi nahin
jo mera haal tire ba.ad hai kaTe hue harf
batana chahta huun koi puchhta hi nahin
saḌak pe hain ki nahin hain ajiib uljhan hai
hamari samt koi shaḳhs dekhta hi nahin
bahut se log hain lekin ḳhushi se tanha huun
kisi ka saath zamane mujhe rava hi nahin
isi liye to badan tar-tar hai mera
jo zaḳhm lag gaya ‘fa.ez’ kabhi siya hi nahin
Leave a Reply