ek bahut ajiib aur gahri shaam men
main ne
zakhmi parinde ko divar ki munder par
sustate hue dekha
us ki ankhen nikli pad rahi thiin
aur zaban bahar nikal aai thi
main ne is se pahle bhi
aisa manzar kahin dekha tha
meri yad-dasht bahut kharab hai
mujhe kuchh yaad nahin rahta
haan
nae manzaron se milta julta
koi purana manzar
mujhe yaad aata hai
aise hi kisi manzar men
us parinde ki halat se
milti-julti
ek ladki ki tasvir
main ne
kaghaz par banana chahi
lekin parinda ud gaya
aur ladki
barahna ho gai
Leave a Reply