• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Dard-E-Dil zaKHm-E-Jigar Ka Raazdan Koi Nahin

Dard-E-Dil zaKHm-E-Jigar Ka Raazdan Koi Nahin

dard-e-dil zaḳhm-e-jigar ka razdan koi nahin

vaqif-e-asrar-e-gham azar-e-jan koi nahin

paas jis ke kuchh nahin mal-o-mata-e-be-baha

us ko kya gham ki muhafiz pasban koi nahin

kya suluk ham-sa.e ka batla.e ik ḳhana-ba-dosh

be-dar-o-divar sa jis ka makan koi nahin

daad ke laa.eq amir-e-shahr hi ki zaat hai

kyunki ab fōtpath par bhi be-aman koi nahin

ḳhana-e-dil tak mire koi gaya to hai zarur

naqsh pa ka chhoḌa hai lekin nishan koi nahin

roz kuchh aise guzarte is jahan se hain zarur

haa.e jis ka rone vaala nauha-ḳhvan koi nahin

aabru allah ne ‘ḳhushtar’ jabin ki rakkhi hai

jis ka is dar ke siva hai astan koi nahin

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ummid-E-Shauq Ho Ya Wada-E-Rahat-Fiza Koi

poet

Maine Har Gam Pe Dhoke Khae

Saqi Bhi Mai-E-Gulfam Bhi Hai Rindon Ko Sala-E-Am Bhi Hai

Daur-E-Hazir Ka Ye Kaisa Gulsitan Hai Boliye

Had-E-Imkan KHalaon Se Pare Mangta Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet