log giton ka nagar yaad aaya
aaj pardes men ghar yaad aaya
jab chale aa.e chaman-zar se ham
iltifat-e-gul-e-tar yaad aaya
teri begana-nigahi sar-e-sham
ye sitam ta-ba-sahar yaad aaya
ham zamane ka sitam bhuul ga.e
jab tira lutf-e-nazar yaad aaya
to bhi masrur tha is shab sar-e-bazm
apne sheron ka asar yaad aaya
phir hua dard-e-tamanna bedar
phir dil-e-ḳhak-basar yaad aaya
ham jise bhuul chuke the ‘jalib’
phir vahi rahguzar yaad aaya
Leave a Reply