saaz ahista zara gardish-e-jam ahista
jaane kya aa.e nigahon ka payam ahista
chand utra ki utar aa.e sitare dil men
ḳhvab men honTon pe aaya tira naam ahista
ku-e-janan men qadam paḌte hain halke halke
ashiyane ki taraf ta.ir-e-bam ahista
un ke pahlu ke mahakte hue shadan jhonke
yuun chale jaise sharabi ka ḳhiram ahista
aur bhi baiThe hain ai dil zara ahista dhaḌak
bazm hai pahlu-ba-pahlu hai kalam ahista
ye tamanna hai ki uḌti hui manzil ka ghubar
sub.h ke parde men yaad aa ga.i shaam ahista
Leave a Reply