apna ahd-e-vafa nibhata huun
ab use roz gungunata huun
meri himmat na puchhiye sahab
ret par kashtiyan chalata huun
do fariqon ke darmiyan aksar
main mohabbat ke pul banata huun
meri imdad aur kuchh bhi nahin
main faqat hausle baḌhata huun
aj-kal pencilon se kaghaz par
dhuup men roTiyan banata huun
main kabhi dushmani nahin karta
aur ho jaa.e to nibhata huun
faisle apne chhoḌ kar un par
zarf logon ke azmata huun
Leave a Reply