saaya paḌte hi zamin ka maah par
chal paḌe sab dahriyat ki raah par
barha us ko kiya agah par
dil kisi surat na aaya raah par
ye bhi dekha hai hamari nasl ne
kaT ga.e sar kitne ik afvah par
hain jo asrar-e-zamin se na-balad
tabsira karte hain mehr-o-mah par
reza reza ho gaya rishton ka pul
jo Tika tha sirf rasm-o-rah par
ham suḳhan-danon ko mal-o-zar se kya
ham to bak jaate hain sirf ik vaah par
ik ishara to zara karte kabhi
jaan de dete tumhari chaah par
jitni baazi hai jo shatranj ki
rakh nigahen har ghaḌi tu shaah par
kyon kisi ke aage phaila.un main haath
mera iman hai mire allah par
kaan koi kyon nahin dharta yahan
‘shad’ is dil se nikalti aah par
Leave a Reply