Ye to Sach Hai Ki Safi Ki Nahin Niyyat Achchhi

ye to sach hai ki safī’ kī nahīñ niyyat achchhī

haañ magar paa.ī hai zālim ne tabī.at achchhī

kyā huā aap ne paa.ī hai jo sūrat achchhī

aadmī vo hai ki jis kī ho tabī.at achchhī

aaj vo pūchhne aa.e haiñ hamārā matlab

sun liyā thā kahīñ matlab kī mohabbat achchhī

ḳhūbsūrat hai vahī jis pe zamāna rījhe

yuuñ to har ek ko hai apnī hī sūrat achchhī

kuchh bhī ho ek tamannā to bañdhī rahtī hai

tujh se sau darja tire milne kī hasrat achchhī

nahīñ apne meñ koī chāhne vaalā terā

Daal dī Dālne vāloñ ne adāvat achchhī

koī armān nahīñ hai to faqat betābī

vasl se tere sitamgar tirī furqat achchhī

un ke aate hī badal jaate haiñ tere tevar

ai safī’ chāhiye insān kī niyyat achchhī

Leave a Comment