aap ki shoḳhi-e-inkar na.i baat nahin
ye to ma.amul hai sarkar na.i baat nahin
aap ko ḳhun-e-tamanna pe ta.ajjub kyuun hai
roz mar jaate hain bimar na.i baat nahin
choT paḌti nahin ehsas pe ab muddat se
aap ki talḳhi-e-guftar na.i baat nahin
husn-e-iḳhlas ke badle men junun milta hai
aam hai shamat-e-kirdar na.i baat nahin
pursish-e-hal ke ba.ad un ko taraddud kaisa
kah chuke ham to ka.i baar na.i baat nahin
Leave a Reply