
Poet
tiri talab ne falak pe sab ke safar ka anjam likh diya hai
kisi ko najm-e-sahar kisi ko sitara-e-sham likh diya hai
zaban pe harf-e-malal kyuun ho ki ham hain raazi tiri raza par
tira karam tu ne ab-o-dana agar tah-e-dam likh diya hai
bacha ke apne liye na rakkha koi gareban ka taar ham ne
junun se jo kuchh bhi ham ne paaya vo sab tire naam likh diya hai
nigah bazar par nahin thi vagarna kyuun chara-saz-e-gham ne
mariz ke nusḳha-e-shifa men ḳhulus ka jaam likh diya hai
ye kis ke ḳhame ka hai navishta ki bul-havas aish kar rahe hain
nasib-e-ahl-e-nazar men kis ne hujum-e-alam likh diya hai
jahan-e-harf-o-sada men charcha na kyuun ho ‘gulzar’ ḳhaas tera
tire liye teri ḳhush-nava.i ne shohra-e-am likh diya hai

Leave a Reply