soch ka saniya dam bhar ko gaya yaar ke paas
paanv be-saḳhta le aa.e mujhe kaar ke paas
ek patthar hai ki bas surḳh hua jaata hai
koi pahron se khaḌa hai kisi divar ke paas
ghanTiyan shor machati hain mire kanon men
phone murda hai magar bistar-e-bedar ke paas
kis tarah barf-bhari raat guzari hogi
main bhi maujud na tha yar-e-tarah-dar ke paas
ibrat-amoz hai darbar-e-shab-o-roz ka taaj
tasht-e-tariḳh men sar rakkhe hain dastar ke paas
chashm-e-lala pe siyah paTTiyan bandhin ‘mansur’
suliyan gaḌne vaale gul-o-gulzar ke paas
Leave a Reply