us ki yadon ka silsila hoga
is kahani men aur kya hoga
jab bichhaḌ kar bhi vo ḳhamosh raha
ghar pahunch kar to ro diya hoga
ḳhud ko samjha liya hai main ne magar
kya vo ḳhud bhi badal gaya hoga
itna asan na tha mujhe khona
us ne ḳhud ko ganva diya hoga
mujh ko viran kar diya jis ne
kahin abad to hua hoga
sochta huun jo mujh ko chahta tha
yaad mujh ko vo kar raha hoga
Leave a Reply