• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Bahut Jabin-O-ruKH-O-Lab Bahut Qad-O-Gesu

Bahut Jabin-O-ruKH-O-Lab Bahut Qad-O-Gesu

bahut jabin-o-ruḳh-o-lab bahut qad-o-gesu

talab hai shart-e-sukun ke hazar-ha pahlu

jo be-ḳhudi hai salamat to mil hi ja.ega

bara-e-fursat-e-andesha yaar ka zaanu

hazar dasht-e-bala halqa-e-asar men hain

mira junun hai ki chashm-e-ghazal ka jaadu

ye raaz khol diya teri kam-nigahi ne

sukun ki ek nazar dard ke bahut pahlu

saba hazar kare bu-e-gul ki amezish

na dab sakegi tire jism-e-naz ki ḳhushbu

ik iztirab-e-hasin hai fishar-e-tangi-e-mai

kanar-e-shauq men tu hai ki daam men aahu

bahut hai ahl-e-basirat ko ek jalva bhi

vafur-e-tishna-labi ho agar to ḳham hai subu

junun aur ahl-e-junun ka vo qaht hai ‘tabish’

uTha na dasht se phir koi na.ara-e-yahu

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Hawas-E-KHalwat-E-KHurshid-O-Nishan Aur Sahi

poet

Jin dinon Hum Us Shab-E-Haz Ke Siyah-Karon Mein The

Qabza Mere Badan Pe Meri KHwahishon Ka Hai

indira-varma

Kabhi Mud Ke Phir Isi Rah Par Na To Aae Tum Na To Aae Hum

Meri Har Soch Mein Poshida Kahani Uski

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet