Kuchh Is Andaz Se Manga Gaya Dil

kuchh is andāz se māñgā gayā dil

ḳhushāmad kar ke de denā paḌā dil

are dil ai mere dil be-vafā dil

to kyā māñgūñ ḳhudā se dūsrā dil

gile shikvoñ kī kar liije safā.ī

burā kyuuñ kījiye achchhā bhalā dil

hue ḳhāmosh to rulvā ke chhoḌā

agar kī baat to barmā diyā dil

mujhe to baḳhshiye aur jiine diije

mubārak aap hī ko aap kā dil

vo maqtal hī sahī mahfil kisī kī

magar kab māntā hai manchalā dil

na kahne degī ye chashm-e-muravvat

na pūchhe ham se koī kyā huā dil

phir ab kaahe kī hai sāhib-salāmat

tumheñ darkār thā dil de diyā dil

badoñ se bhī nahīñ karte burā.ī

ham aisā sab ko de ‘manzar’ ḳhudā dil

Leave a Comment