kya kahun kitna fuzun hai tere divane ka dukh
ik taraf jaane ka gham hai ik taraf aane ka dukh
hai ajab be-rangi-e-ahval mujh men maujzan
ne hi jiine ki talab hai ne hi mar jaane ka dukh
toḌ Daala tha sabhi ko dard ke azar ne
sah na paaya tha koi kirdar afsane ka dukh
ḳhuun ro uThti hain sab ankhen nigar-e-sub.h ki
banTti hai shab kabhi jo a.ina-ḳhane ka dukh
sham.a bhi to ho rahi hoti hai har pal ra.egan
kyuun faqat ham ko nazar aata hai parvane ka dukh
sar paTakti thiin musalsal mauj-ha-e-tishnagi
honT ke sahil pe ḳhema-zan tha paimane ka dukh
loTta hai jab bhi siine par shanasa.i ka saanp
lahr uThta hai badan men ek anjane ka dukh
vaar deta huun main ‘sarim’ apni sab abadiyan
mujh se dekha hi nahin jaata hai virane ka dukh
Leave a Reply