sauda-e-gesu-e-siyah-e-yar ho gaya
azad tha jo dil so giraftar ho gaya
majlis men jis taraf tiri tirchhi nazar paḌi
ik tiir tha ki toḌ ke saf paar ho gaya
sach hai ye hirs karti hai insan ko ḳharab
gham khaya is qadar ki main bimar ho gaya
dil ko qarar hai na to jaan ko qarar hai
ye ishq hai ilahi ki azar ho gaya
anba-e-jins se jo uTha.in aziyyaten
surat se aadmi ki main bezar ho gaya
sair-e-chaman ko yaar jo aaya to dekhna
ankhon men andalib ke gul ḳhaar ho gaya
‘ahqar’ gila raha na adavat ka ghair ki
jab yaar qatl karne pe tayyar ho gaya
Leave a Reply