• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Sawab Hai Ya Kisi Janam Ka Hisab Koi Chuka Raha Hun

Sawab Hai Ya Kisi Janam Ka Hisab Koi Chuka Raha Hun

savab hai ya kisi janam ka hisab koi chuka raha huun

jo ghar ke angan men chinTiyon ko main roz aaTa khila raha huun

main raqs karta hua bagula jo dasht-e-jan men bhaTka chuka hai

ab apni sanson ki andhiyon se bas apni miTTi uḌa raha huun

vo manzilen kya ye raste bhi mujhi ko le kar bhaTak ga.e hain

na chal raha huun na ruk raha huun na ja raha huun na aa raha huun

qarib aati har ek shai ne mira nazriya badal diya hai

main jis ke pichhe paḌa hua tha usi se pichha chhuḌa raha huun

vo rabt-e-baham nahin hai lekin abhi bhi rishta bana hua hai

vo mujh se duuri baḌha raha hai main us se qurbat ghaTa raha huun

mire hi apne muhib saa.e mujhi ko ghere khaḌe hue hain

kisi ko ankhen dikha raha huun kisi se ankhen chura raha huun

main aa.ina huun to kaun hai ye aa.ina hai to kaun huun main

inhin savalon se tang aa kar main sab shabihen haTa raha huun

mujhe yaqin hai ise jala kar main apne sab Dar miTa sakunga

so ek kapḌe men ruui bhar kar main apna putla bana raha huun

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Nagin Hai Zulf-E-Yar Na Zinhaar Dekhna

Dilon Mein KHak Si uDti Hai Kya Na Jaane Kya

Main Jaanta Hun Ki Sare Bure Nahin Hote

poet

Lo Zoaf Se Ab Ye Haal-E-Tan Hai

Zindagi Ke Kaise Kaise Hausle Pathra Gae

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet