sau haath uthe karb ki khushbu ko churane
kya zakhm lagae hain mire tan pe hava ne
raste men koi ped jo mil jaae to baithun
vo baar uthaya hai ki dikhne lage shane
ankhon men basi thi tire chehre ki tamazat
chalne na diya raah men zanjir-e-sada ne
chehre the ki marqad ki tarah nauha-ba-lab the
kya kya na rulaya mujhe manus faza ne
naghmon ke taaqub men na jaao ki abhi tak
insan ko mayassar hi nahin hont hilane
kyuun itne pareshan ho unvan ki talab men
kirdar mukammal ho to bante hain fasane
ankhon ke jharokon se kise dhund rahe ho
har naqsh mita daala hai sahra ki hava ne
duniya men yahi soch ke zinda huun main ‘afzal’
ehsas to bakhsha hai mujhe mere khuda ne
Leave a Reply