gham ki tartib saliqe se laga sakta tha
ya.ani main roz tira hijr mana sakta tha
sabr ne chiḳh gale se nahin aage bheji
varna divana bahut shor macha sakta tha
ghairat-e-ishq ne patthar ka banaya mujh ko
varna main ḳhaak vahan uḌ ke bhi ja sakta tha
tangi-e-daman-e-sad-chak tira kya rona
main numa.ish men faqat zaḳhm dikha sakta tha
teri nafrat se agar thoḌi si fursat milti
main mohabbat men bahut naam kama sakta tha
aap be-kar samajh kar jise chhoḌ aa.e hain
ik vahi shaḳhs miri jaan bacha sakta tha
us ki ma.asum tabi.at ki haya ne roka
varna main us ko baḌe ḳhvab dikha sakta tha
ye to us chehra-e-pur-nur ka jaadu samjho
varna darvesh kahan jaal men aa sakta tha
yunhi zahmat se akele mujhe barbad kiya
zindagani main tira haath baTa sakta tha
tum hi ‘tahsin’ miri qadr nahin kar paa.e
main to vo tha jo gaya vaqt bhi la sakta tha
Leave a Reply