• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Saton Falak Kiye Tah-O-Baala Nikal Gaya

Saton Falak Kiye Tah-O-Baala Nikal Gaya

poet

saton falak kiye tah-o-bala nikal gaya

aḳhir shab-e-firaq men naala nikal gaya

vahshat ne mujh pe arsa-e-hasti kiya jo tang

ghabra ke su-e-alam-e-bala nikal gaya

sar de de yad-e-gesu-e-janan ki chaah men

piiTa karo lakir ko kaala nikal gaya

yaqub-var rota main us but ke hijr men

yusuf mira ḳhuda-e-ta.ala nikal gaya

furqat men us ki shiddat-e-girya kahan talak

barsa baras ke abr ka jhala nikal gaya

roka kiye mala.eka haft asman ke

saton falak ko toḌ ke naala nikal gaya

so.e na sakinan-e-mohalla sahar talak

be-saḳhta jo raat ko naala nikal gaya

kyun-kar na roiye dil-e-gum-gashta ke liye

naz-o-ni.am se tha jise paala nikal gaya

pir-e-mughan faqir ko samjhe sharab-ḳhor

jis mai-kade men le ke piyala nikal gaya

jaata na ghar se aap ke zid se raqib ki

lekin ba-pas-e-ḳhatir-e-vala nikal gaya

jhaTka jo uljhi zulf ko jhunjhla ke yaar ne

haale se machhli kaan se baala nikal gaya

kis rashk-e-gul ki dekhi qaba us ne tang chust

bahar jo apne jaame se laala nikal gaya

daana tha kya haram ka rizq-e-halal men

munh se jo ai karim nivala nikal gaya

buuTa kaho na qamat-e-dilbar ko sha.ero

ab sarv se bhi vo qad-e-bala nikal gaya

raunda kiya main ḳhar-e-bayaban ko ai junun

har ik bacha ke paanv ka chhala nikal gaya

kambal men apne garm raha main faqir-e-mast

kiya gaya na dur-dar duuna nikal gaya

phir chal dila na kucha-e-gesu ka qasd kar

hai aaj raah kaaT ke kaala nikal gaya

ukta gaya ba-tang hua kya kare gharib

aḳhir tumhara chahne vaala nikal gaya

mehman hai faqir hai sun lenge aap ‘rind’

murshid ka apne kar ke pyala nikal gaya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Jidhar Dekh Tumhaari Bazm Mein Aghyar baiThe Hain

rahat-indori

Ab Apni Ruh Ke Chhaalon Ka Kuchh Hisab Karun

poet

Hamein Zahid Jo Kafir Jaanta Hai

etibar-sajid

Tark-E-Talluq Kar To Chuke Hain Ek Imkan Abhi Baqi Hai

poet

Apni Qismat Mein Gham-E-Arsa-E-Hijran Hai to Kya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet