saath saath ahl-e-tamanna ka vo muztar jaana
allah allah tira bazm se uth kar jaana
rahbari kar ke miri khizr bhi chakkar men pade
ab unhen jalva-gah-e-yar men akasr jaana
dagh-e-kam-hauslagi dil ko gavara na hua
varna kuchh hijr men dushvar na tha mar jaana
sadgi se ye guman hai ki bas ab rahm kiya
mutmain huun ki mujhe aap ne muztar jaana
nashshe men bhi tire ‘bekhud’ ki taalli na gai
bada-e-hosh-ruba ko mai-e-kausar jaana
Leave a Reply