• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kisi Se Rabt Nahin Hai Kisi Se Pyar Mujhe

Kisi Se Rabt Nahin Hai Kisi Se Pyar Mujhe

kisi se rabt nahin hai kisi se pyaar mujhe

na jaane rahta hai phir kis ka intizar mujhe

har ek saans miri umr ko ghaTati hai

nafas ka taar hai goya kafan ka taar mujhe

miri bahar ko mausam ka intizar nahin

koi jo hans ke mila mil ga.i bahar mujhe

na be-qarar ho tu meri be-qarari par

taḌap taḌap ke ḳhud aa ja.ega qarar mujhe

ye dil ka aa.ina ab toḌne ke qabil hai

dikha.i deta nahin us men ru-e-yar mujhe

kisi ke husn ki main ne bahar dekhi hai

chaman ke phuul dikhate hain kya bahar mujhe

ye ḳhud-farebi hai meri ki ḳhud-faramoshi

na aane vaale ka rahta hai intizar mujhe

mire vajud se harakat to hai zamane men

agarche mauj ki surat nahin qarar mujhe

mire chaman hi se vabastagi hai donon ki

aziiz kyuun na hon phulon ke saath ḳhaar mujhe

‘jigar’ ke ḳhuun se ankhon men surḳh Dore hain

samajh raha hai zamana sharab-ḳhvar mujhe

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Sufi

Mera To We Re

Har Nafas Taza Musibat Umr Bhar Dekha Kiye

Sufi

Bhadak Utha Hai Alaw Tumhaari Furqat Ka

Nihan Ho Ke Bhi Main Zahir Rahunga

poet

Tere Aage Yar-E-Nau Yar-E-Kuhan Donon Hain Ek

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet