• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / mausam ke pas koi Khabar moatabar bhi ho

mausam ke pas koi Khabar moatabar bhi ho

shabnam-shakeel

mausam ke paas koi khabar mo’atabar bhi ho

mauj-e-hava ke saath tira nama-bar bhi ho

sun lega teri chaap to dhadkega der tak

laakh apne gird-o-pesh se dil be-khabar bhi ho

arzan se log bhagte us ko to gham nahin

lazim nahin ki husn men husn-e-nazar bhi ho

barson se jis makan men meri bud-o-bash hai

ab kya ye lazmi hai vahi mera ghar bhi ho

sustae jis ke saae men har aarzu miri

is dil ke sahn men koi aisa shajar bhi ho

shah-rah-e-raushni pe chala hai jo mere saath

tarik raston men mira ham-safar bhi ho

kitne hi phuul chehre dhuan ban ke rah gae

is sanehe se kaash koi ba-khabar bhi ho

us ke liye to daav pe khud ko laga den ham

tadbir vo batao ki jo kargar bhi ho

jaage hue gulon hi se ‘shabnam’ ko pyaar hai

mumkin hai koi shai tire zer-e-asar bhi ho

Filed Under: Ghazal Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Mausam-E-Gul Mein Koi Kab Hosh-Mandana Chala

Kabhi to Aa Ke Milo Mera Haal to Puchho

Main Sach to Kah Dun Par Usko Kahin Bura Na Lage

Humne honTon Pe Tabassum Ko Saja Kar Dekha

Koi Milta Nahin KHuda Ki Tarah

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet