dagh-e-junun dimagh-e-pareshan men rah gaya
daman men khaar chaak gareban men rah gaya
jab do qadam junun men mira saath ho gaya
phaila ke paanv qais bayaban men rah gaya
abru-e-yar se jo bahut munfail hua
munh daal kar hilal gareban men rah gaya
taqlid ban padi na tumhari khiram ki
taus ladkhada ke gulistan men rah gaya
aai bahar aur na chhuta main ai junun
kaisa tadap ke khana-e-zindan men rah gaya
tuuda qaza ne navak-e-jallad ka kiya
main dher ho ke ganj-e-shahidan men rah gaya
kya hadisa pada mire yusuf par ai ‘saba’
dil gir ke un ki chah-e-zanakhdan men rah gaya
Leave a Reply