• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Sard sannaTon Ki Sab Sargoshiyan Le Jaunga

Sard sannaTon Ki Sab Sargoshiyan Le Jaunga

sard sannaTon ki sab sargoshiyan le ja.unga

main jahan bhi ja.unga dil ki zaban le ja.unga

shahar chhoḌunga to ro.engi milon ki chimniyan

dekhna ik roz main saara dhuan le ja.unga

vo jahan chahe chala jaa.e ye us ka iḳhtiyar

sochna ye hai ki main ḳhud ko kahan le ja.unga

sat.h-e-dariya raqs men hai aaj mujh ko dekh kar

aaj main us paar apna karvan le ja.unga

vo agar do-char qatron se navazega to kya

ek ik qatre men bahr-e-be-karan le ja.unga

manzaron ko kya ḳhabar hogi ki un ke vaste

qurbaten taqsim kar ke duriyan le ja.unga

jin andheron se tumhen har-vaqt vahshat hai ḳhayal

un andheron tak tumhari dastan le ja.unga

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ek Duniya Nai Banaenge

Qatil Ko Tegh-E-Naz Pe Hai Naz Dekhna

Dil Mein Ek Sham Si Utarti Hai

Hai kaThin Rah to Gir Gir Ke Sambhalna Hoga

Kya Gul Khilae Dekhiye Tapti Hui Hawa

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet